Marsiya Munira R.
Flag Ummesalma P.
Nana nabi to aawo
Kandhe pe ab uthawo
Godi me ab sulawo
Aawo madad ko aawo
Baba mere kaha ho
Mushkil kusha kaha ho
He tanha Husain ran mei
Husain ki madad ko aawo
Ma Fatema sidharo
Bete ko ab sambhalo
Pohcha he Karbala wo
Tanha madad ko aawo
Bhai Hasan kaha ho
Saath rehte the kaha ho
Yaad aate ho kaha ho
Husain ki madad ko aawo
Abdullah noujawan hai
Dulha bana khara hai
Sakina se bichar raha he
Bhai Hasan ko koi bulawo
Sakina dulhan bani hui hai
Pal ki shaadi rachi hui hai
Qatra sharbat, pani nahi hai
Dulhan do pal mei bewa hui hai
Baba ka haale gham hai
Aankh ansuo se pur nam hai
Kaisi shaadi rachi hai ran mei
Dulha dulhan ka haale gham hai
Baba ko yaad karti
Raato mei uth ke roti
Shamo sahar ye kehti
Abu ko mere koi bulawo
Karyal jawaan Akbar
Tha ham shakle payambar
Barchi khake dil par
Gira hai khake karbal
Socha ke dushmano par
Asgar ki tashnagi par
Asar hoga koi dil par
Gaye nanhe mujahid ko lekar
Gaye ran mei Husain keh kar
Ye nanhi si jaane Asgar
Par the woh bohat hi abtar
Mara teer hulqum par
Bhai Abbas tum kaha ho
Alam Abbas ab tum hi sambhalo
Pyass ki shiddat ko tum mitawo
Ab tutti kamar hai sambhalo
Saidaniyo se milne
Aaye Husain khaimo mei
Aakhri salaam parhke
Alwada sabhi ko keh ke
Zainab bohat hi roye
Bhai ka haal dekhe
Dono gale si milke
Zainul aba ko sonpe
Binte Fatema hai Zainab
Sabr ki mili virasat
Kya khoob ki he khidmat
Ahle Bait ki thi taaqat
Shah ab gai he ran mei
Shahadat ko kharidne
Kiya waada ab nibhane
Islam ko bachane
Noho aweel karna
Buka matam bhi hai karna
Moula ki khushi hai lena
Yehi araz hai mukhlesana
Baaqi raho abad lag
Saiful huda salamat
Karu Moula ki mai khidmat
Talab hai Moula lutf ki nazrat
Bandhi hai ye sagira
Araz karti hai Munira
Moula ki talat munira
Se howe noorani munira
No Comments