Header Credits Alaifiyah J. (@create_and_escape)
Words Zahabiya K.
Is vaba me bhi Barakat chupi hui hai
Dekho mumin ke gharo ko kaise masjid bana chuki hai
Har ghar me ek imam, Ramazan o Muharram
Azaan ki awaaz aur Husain ka pur josh matam
Is vaba me bhi to Barakat chupi hui hai
Akele apne gharo me band gaye log
Zikrul Husain se humne to mehfil saja rakhi hai
3 dai ke saath Ashara Mubaraka ki nemat
Aali Qadar Moula ne aaj itehaas racha rakhi hai
Is vaba me bhi to Barakat chupi hui hai
Ya Husaina ki tasbeeh lab par
Dilo diwaar par bhi naksh kar chuke hai
Kya tassavur bayan kare is Ashara ka
Dai ke saath Panjatan bhi ghar tashreef la chuke hai
Shukur har mumin ke labo par hai aaj bayan
Is vaba me bhi to Barakat chupi hui hai
Kehte the har saal, khush naseeb hai log
Jo Moula ke saath buka kiya karte hai
Aaj har Mumin apni khush naseebi pe fakhr karta hai
Is vaba me bhi to Barakat chupi hui hai
Saiful huda ke saaye me
Har jang fateh huaa karti hai
Baki raho ey maula, yeh dua subah shaam kiya karte hai
Is vaba me bhi to Barakat chupi hui hai
Words Zahra M. (@makeitrealbymarvi)
My lesson of this year’s Ashara is wrapped in a Noha that I wrote during the days of Ashara.
I would like to submit the Noha that explains my experience which is as follows:
Toh kya hua agar humari aankhon ne Imam Husain ki shahadat nahi dekhi?
Humne toh dil ki aankhon se Karbala ka manzar dekh liya.
Toh kya hua agar humare kaanon ne Imam Husain ko paani maangte hue nahi suna?
Humne toh kaanon se Aali Qadr ke ‘Ah!’ ke naaray ko apni jaan mein bhar diya.
Toh kya hua agar zuban se Imam Husain se Karbala mein shahadat nahi maangi?
Hum apni zuban se ‘Ya Hussain Ya Hussain’ ki shahadat har zaman mein dete rahenge.
Toh kya hua agar hamare haathon ne Imam Husain ke lashkar ki nishani nahi pakri?
Ab hum apnay haathon se seeney pe ‘Ya Husain’ ke maatam ki nishani bana denge.
Toh kya hua agar in dino mein masjid ko abaad nahi kar saktey?
Naseeb toh dekho, iss baar Karbala har ek mumin ke ghar ayi hai.
Ay Mumin, iss naseeb ko bhar bhar ke le lo ge?
Aali Qadr Moula ko araz karna hai, ke har mumin ka ghar,
Imam Husain ke khaimon se jura hua hai.
No Comments